abhivyakti

Name:
Location: Delhi, Delhi, India

सबसे मुश्क़िल है ख़ुद को जानना… क़ोशिश ज़ारी है इस मुश्क़िल को हल करने की!

Saturday, June 30, 2007

Apnon se hisaab nahin hota!!

kal packing shuru kar dee thi allahabad k liye..to jab apne purane papers padh padh k..rakhne waale rakh rahi thi aur feikne waale feink rahi thi..to ek bahut purani story bhi mili...kuchh is tarah se..

Ek sanyaasi baba haath mein motiyon(manake) ki maala liye..bhagwaan ka naam rat-te rat-te idhar se udhar vihar kiya karte the..
isi tarha vihar karte karte achanak woh ek gaun mein pahunche..wahan jo unhein dekhne k liye mila woh kuchh is tarha tha..
ek doodh ki dukaan par doodh waala doodh naapne k bartan se naap naap kar logon ko unki zaroorat k hisaab se doodh de raha tha..doodh naapte hue woh badi hi saavdhani barat raha tha..ki naa to doodh zyada chala jaaye aur naa hi kam rahe..tabhi achanak us doodh waale ka beta aaya..aur aakar doodh maangne laga..doodh waale ne woh bartan jo uska beta laaya tha liya aur bina naape use direct doodh k tub se doodh de diya..sanyaasi ne yeh sabb dekha to badi hairani se doodh waale se poochha..yeh kya tumne to bina naape hi doodh de diya ..ab hisaab kaise karoge..doodh waale ne jawab diya..woh mera beta tha..AUR APNON SE HISAAB NAHIN KIYA JAATA...
sun kar sanyaasi hansa aur yeh kehte hue ki apnon se hisaab nahin kiya jaata..apne haath ki mala feink dee...

Wednesday, June 20, 2007

Jo mil gaya usi ko mukaddar samajh liya...

Maine dil se kaha
Dhoondh laana khushi
Naasamajh laaya gham
to yeh gham hi sahi...

Monday, June 18, 2007

Nahin jaante tum!!

Jaante the tum
kuchh nahin kahoonki
isiliye aur sirf isiliye
shayed
karte rahe
jo tumhare mann ne kaha
bina yeh soche
ki mujhe kaisa lagega
kyunki main janti hoon
ki jaante ho tum
kuchh kahoongi nahin
par
darr lagta hai
kabhi kabhi
tumhare liya
jab ehsaas hota hai
ki nahin jaante tum
ki jis din
anubhav karoongi
jaana chahiye
chali jaaungi
tumhari zindagi se
hamesha k liye
bina kuchh kahe

Sunday, June 10, 2007

Kabhi kuchh khoya..
Kabhi kuchh paaya..
Jab paa liya khush ho gaye..
Jab kho diya dil ro diya..
Isi paane khone ka naam zindagi hai..

Thursday, June 07, 2007

..bas yun hi!!

Aisa nahin kisi se koi anban hai..
bas kuchh der akele chalne ka mann hai

Monday, June 04, 2007

???

Andheron se kheenchkar mujhko roushni mein laaya gaya..aur aaj roushni kehne lagi hai mujhse.."tumne to andheron ka bhi saath chhod diya"

Maine sannate ki aawaz suni hai!!

Jab ham bolte hain to sochte nahin hain..kyunki jab ham sochte hain to bol nahin paate..ya yun kahiye ki bolne ki zaroorat hi nahin reh jaati..ab aise mein jo log baat karte hain hazir jawabi ki to hazir jawab log bhi apni soch ka nahin apne jnan ka prayog larte hain..kyunki woh bhi agar sochein to bol hi na paayein..isliye bas chup rejkar sun-ne ka alag anand hota hai..

Maine bheed ki aawaz suni..
maine shor ki aawaz suni..
aur maine sannate ki bhi aawaz suni..
par sannate(chuppi) ki aawaz..
kahin zyada achchhi lagi..
bheed aur shor ki aawaz se!!