Name:
Location: Delhi, Delhi, India

सबसे मुश्क़िल है ख़ुद को जानना… क़ोशिश ज़ारी है इस मुश्क़िल को हल करने की!

Saturday, June 30, 2007

Apnon se hisaab nahin hota!!

kal packing shuru kar dee thi allahabad k liye..to jab apne purane papers padh padh k..rakhne waale rakh rahi thi aur feikne waale feink rahi thi..to ek bahut purani story bhi mili...kuchh is tarah se..

Ek sanyaasi baba haath mein motiyon(manake) ki maala liye..bhagwaan ka naam rat-te rat-te idhar se udhar vihar kiya karte the..
isi tarha vihar karte karte achanak woh ek gaun mein pahunche..wahan jo unhein dekhne k liye mila woh kuchh is tarha tha..
ek doodh ki dukaan par doodh waala doodh naapne k bartan se naap naap kar logon ko unki zaroorat k hisaab se doodh de raha tha..doodh naapte hue woh badi hi saavdhani barat raha tha..ki naa to doodh zyada chala jaaye aur naa hi kam rahe..tabhi achanak us doodh waale ka beta aaya..aur aakar doodh maangne laga..doodh waale ne woh bartan jo uska beta laaya tha liya aur bina naape use direct doodh k tub se doodh de diya..sanyaasi ne yeh sabb dekha to badi hairani se doodh waale se poochha..yeh kya tumne to bina naape hi doodh de diya ..ab hisaab kaise karoge..doodh waale ne jawab diya..woh mera beta tha..AUR APNON SE HISAAB NAHIN KIYA JAATA...
sun kar sanyaasi hansa aur yeh kehte hue ki apnon se hisaab nahin kiya jaata..apne haath ki mala feink dee...

2 Comments:

Blogger Ashish said...

kya hum bhi aapke apno me shamil hai... agar ha to ummed hai ki aap aage se kabhi hum se hisab nahi karengi :-)

8:06 AM  
Blogger मुक्ता_MUKTA said...

tumhein apna banakar main tumhein paraya nahin karna chahti..kyunki aaj tak bass apnon ko paraya hote dekha hai..isliye tum jo ho bass wahi raho..phir kabhi plz..naam mat dena apne ya paraye ka...ki bahut dil dukhta hai apnon ko paraya hote dekh!!

9:27 AM  

Post a Comment

<< Home