Name:
Location: Delhi, Delhi, India

सबसे मुश्क़िल है ख़ुद को जानना… क़ोशिश ज़ारी है इस मुश्क़िल को हल करने की!

Saturday, February 23, 2008

Temptation is too strong to resist..

..zindagi kee race chal rahi thi.aur main usmein bhagey ja rahi thi..is ummeed ke saath ki main hi jeetungi..abhi aagey dekha to main sabko peechey chhod aai thi aur manzil bhi kareeb nazar aa rahi thi..is-se main ek celebration k mood mein aa rahi thi..us celebration ke mood mein aagey ki jagah bass ek baar peechey mud kar dekha..aur yeh kya wapas paltee to saamne ek gehra gaddha tha jo meri nigahon se peechey dekhne kee vajah se chhoot gaya..aur main itni speed mein thee ki ab kuchh nahin ho sakta tha..bahut tezi se oopar ki or uchhli..aur utnee hi tezi se aundhe munh zameen par aa padi..kuchh nahin bacha sivaye khoon ke...

kuchh log pyar ko bhi koshish ka naam de dete hain..huh..aur kuchh log koshishon ko bhi pyar ka naam dene se nahin chookte..

kuchh lines jo sateek meri kahani bayan kar rahi hai...kuchh is tarah se yaad aa rahi hai..
DIL KEE BASTI PURAANI DILLI HAI
JO BHI GUZRA USEE NE LOOTA HAI!!

1 Comments:

Blogger Ashish said...

Dil ki basti purani dilli hai.
Jo bhi gujra usi ne loot liya......

Koshish ek dil ki daastan hai mere dost jab aap kisi ambition, kisi dream k liye apne saare efforts laga deta hai... shayad aap ko us dream se pyar hota hai, shayad aap apni ambition ki chahat me khoye hote hai... isi liye to koshish chalti hai.. isi liye to ye janana bahut jaruri hai ki wastav me ambition thi kya...........................

4:38 AM  

Post a Comment

<< Home