Name:
Location: Delhi, Delhi, India

सबसे मुश्क़िल है ख़ुद को जानना… क़ोशिश ज़ारी है इस मुश्क़िल को हल करने की!

Monday, June 18, 2007

Nahin jaante tum!!

Jaante the tum
kuchh nahin kahoonki
isiliye aur sirf isiliye
shayed
karte rahe
jo tumhare mann ne kaha
bina yeh soche
ki mujhe kaisa lagega
kyunki main janti hoon
ki jaante ho tum
kuchh kahoongi nahin
par
darr lagta hai
kabhi kabhi
tumhare liya
jab ehsaas hota hai
ki nahin jaante tum
ki jis din
anubhav karoongi
jaana chahiye
chali jaaungi
tumhari zindagi se
hamesha k liye
bina kuchh kahe

7 Comments:

Blogger Ashish said...

jaanti thi tum ki
kya kar raha hu me
par ek bar bhi
kuch kaha nahi
ho haq tha tumhara
usase kabhi mujhe roka nahi

shayad sochti thi tum
ki me nahi chahta
par ek baar ehsas to karaya hota
jaane se pahle ek bar
mujhe ye sab bataya to hota

kya pata tha mujhe
ki chali jaogi tum
aur rah jaunga me
fir se
khali hath
fir se khali hath..................

12:07 AM  
Blogger मुक्ता_MUKTA said...

gud one..
kash ki koi aur bhi aisa soch pata..tum nahin jaante sabki soch alag hoti hai..
abb yadi kisi ko bass haq jatana hi aaya ho..dena nahin..to kya kiya jaana chahiye..tum hi kaho..

11:37 PM  
Blogger Ashish said...

Me janta hu ki sabki soch aur jindagi jeene ka najriya alag hota hai. me ye bhi janta hu ki log aapke nahi apni suvidha k hisab se sochte hai. aur jab kisi ko apna haq dene ki baat aati hai to wahi log jo aapke khairkhwah the aur aap un par aankh mund k bharosa kar sakte the, wahi dhoka de jaate hai....

is dunia me sachcha pyar dena to asan hai kyuki ye aapke hath me hai, par saccha pyar paana............
bahut mushkil hai.....

10:18 AM  
Blogger मुक्ता_MUKTA said...

sachh kehna..kya tumne mera dil padha tha...yadi nahin to yeh sabb kaise likh paaye

6:36 AM  
Blogger Ashish said...

Me tumhare dil k baare me nahi janta, par mene apna dil jarur padha hai. aur me ye janta hu ki hamare gum ek se hai, hamari jindagi ek si hai, aur hum bhi ek se hai...

Mujhe tumhara dil padhne ki jarurat nahi hai, jab bhi kuch janana hota hai me bus khud ko padh leta hu......... aakhir andar se to hum ek hi path k raahi hai.......

8:03 AM  
Blogger मुक्ता_MUKTA said...

ham tab hi tak ek hi path k rahi hain jab tak ham-mein se kisi ek ko apni manzil nahin mil jaati..manzil jiski bhi pehle aa jaayegi..woh wahin ruk jaayega..aur wahan se doosre ko apni manzil paane k liye aagey ka raasta phir se akele hi tai karna padega..comment padh kuchh line yaad aa rahi hain..jo shayad jeevan ki sachchai bayaan kartee hain..

Pal do pal ka saath hamara..
Pal do pal k veerane hain..
Is manzil par milne waale..
Us manzil par kho jaane hain..

hai na?

8:52 AM  
Blogger Ashish said...

Safar tab tak nahi rukta jab tak raahi is dunia se rishta na tod le. Manzile to aati hai aur jaati hai. har manjil ek naye safar ki shuruaat hoti hai aur har ek naya safar saathi ke bina to nahi ho sakta na.....

9:32 AM  

Post a Comment

<< Home