Name:
Location: Delhi, Delhi, India

सबसे मुश्क़िल है ख़ुद को जानना… क़ोशिश ज़ारी है इस मुश्क़िल को हल करने की!

Friday, March 19, 2010

Aisa kyu hota hai..

ham sabke andar nahin shayad yeh kehna zyada sahi hoga ki har ladki k andar do character hote hain...chaliye main apna hi udaharan dekar ise thoda aur spasht karne ki koshish karti hoon...mujhe ehsaas hota hai ki mere andar do character chhupe hue hain...pehle milte hain mukta ji se..woh bahut mature hain...zyadatar muamlon mein dimag se kaam leti hain..bahut bold hain..har decision boldly le sakti hain..aur kabhi kabhi leti bhi hain...thodi shy bhi hain..thodi sakuchi bhi aur thodi sehmi si bhi..duniya ki chhoo lene wali har buri nazar se khud ko bachhte hue apne tareeke se zindagi jeeti hai..uski koi bahut zyada tamanna nahin hain zindagi se..

ab milte hain doosre character se..woh thodi chulbuli hai..chhoti hai..shararti hai..bachchhi si hai...ziddi bhi hai..chalo uske charitra ko charitrarth karta ek naam use de dete hain..Nikki..ji yeh nikki bahut kuchh karna chahti hai..dher saari masti..uchhal kood..sharartein..saath hi chahti hai khud ko pamper karvana..bachchi hai na..par sach bahut pyari hai..sabko khush rakhna jaise uska lakshya ho..na to khud dukhi rehti hai aur na hi apne aas paas kisi ko dukhi rehne deti hai..

ab baat karte hain logon ki...woh jab mujhse milte hain to kyunki main pehle hi keh chuki hoon nikki zyada shararti hai..to pehle woh hi nazar mein aa jaati hai...mukta use chhipane ki poori koshish karti hai..par zyada der chhipa nahin paati..aur nikki ki dil lubhane wali mastiyan sabka dil moh leti hain...log nikki ko pasand karte hain..aur phir kyun na karein zindagi se bhari hui hai nikki..us-se baar baar milna chahte hain..uske saath jeena chahte hain...aur dheere dheere usko apne rang mein dhalne ka prayas karne lagte hain...aur kyunki main pehle hi keh chuki hoon nikki dimag se kaam nahin leti hai..bas dil ki sunti hai..woh us rang mein rangne lagti hai..woh nikki ko apna banne ka dikhava karke..shuru karte hain uske saath ek saazish...jismein woh use, uski har usi chanchalta par jo kabhi unhein lubhati thi, tok tok kar yeh kehte hain ki yeh theek nahin, woh theek nahin aur dheere dheere hatya kar dete hain nikki ki aur bas bach jati hai mukta...aur phir yeh kehkar ki ab tumhare andar ki nikki mein nikki jaisa kuchh bhi nahin, chal padte hai ek aur nikki ko dhoondhne aur uski hatye kar use tabdeel karne poori mukta mein!!

0 Comments:

Post a Comment

<< Home